Posts

Showing posts from May 18, 2012

Ek Pyari Si Dushman

Image
Ek Pyari Si Dushman (The image is a digital art done by me) Zindegi men kaun kab kahan mil jate hain pata nahi chalta. Hum log sochte hain- yeh kyun hua, agar esa hota to kitna achha hota, mene toh yeh socha nahi tha. Par jo bhi hota hai sab sahi samay pe hota hai, jaise koi kahani pehele se likhi gayi ho bash hum ush script pe act karna baki ho. Hum hamesha jo galat hua hai hamare wahi sochte hain , par zindegi hame kya deke chala jata hai usha pata nehi chalta. Jaise koi hawa ka jhoka apni ballon ko choon ke chala gaya ho, jaise hame koi hawa galo ko chuke chala gaya ho. Uska ehesash hawa chale jane ke baad hota hai.  Muhje abhi bhi yaad hai, jab men ro ro ke apni halat kharap kar di thi aur meri ek dost ‘Khuku’ ko bol rahi thi...”mene toh IAS banne ke liye sochi thi, par yahan  IIT men PhD kar rahi hoon. Men job hi sochti hoon wo hota nehi. ”  tab khuku muhje samjhayi, dekh tu agar yahan nehi ati toh men tuhje kaise milti. Yeh sunke men lawan pe muskur...