Ek Pyari Si Dushman



Ek Pyari Si Dushman


(The image is a digital art done by me)

Zindegi men kaun kab kahan mil jate hain pata nahi chalta. Hum log sochte hain- yeh kyun hua, agar esa hota to kitna achha hota, mene toh yeh socha nahi tha. Par jo bhi hota hai sab sahi samay pe hota hai, jaise koi kahani pehele se likhi gayi ho bash hum ush script pe act karna baki ho. Hum hamesha jo galat hua hai hamare wahi sochte hain , par zindegi hame kya deke chala jata hai usha pata nehi chalta. Jaise koi hawa ka jhoka apni ballon ko choon ke chala gaya ho, jaise hame koi hawa galo ko chuke chala gaya ho. Uska ehesash hawa chale jane ke baad hota hai. 
Muhje abhi bhi yaad hai, jab men ro ro ke apni halat kharap kar di thi aur meri ek dost ‘Khuku’ ko bol rahi thi...”mene toh IAS banne ke liye sochi thi, par yahan  IIT men PhD kar rahi hoon. Men job hi sochti hoon wo hota nehi. ”  tab khuku muhje samjhayi, dekh tu agar yahan nehi ati toh men tuhje kaise milti. Yeh sunke men lawan pe muskurahat turant agaya. Sach hi toh bol rahi thi wo. Yahan ake men eek achha dost payi , aur ek achha dost pana kismet ki hi baat hoti hai. Umar guzar jata hai, hum school se collge, collge se university, ushke baad shaadi bache, budhe baan jate hain...par ek acha aur sacha dost mil nehi pate. Par mere kismet ne muhje Dost ke naam pe khuku ko toofe men diya, yeh kya koi degree ke kaam hai.
Hum log zindegi kaat lete hain caeer ke peeche bhagte bhagte, jab apna paon thak jata hai, hum ruk jate hai, aur peeche mudke dekhte hain ke hum itne aage nikal gay eke humare sath koi nehi . Koi nehi jo hamare thake huye paayon ka taakleef apni baton se kaam kar de, koi nehi apne peeth pe hath rakhke bole tu abhi sash le le. Ek dost hi toh hota hai jo zindegi bhar apna sath deta hai. Ek dost hi toh hota hai jiske sath hum apni dil ki baat bina dare, bina hichkichaye bol sakte hai. Ek dost hi toh hote hai, jo tumhare aasoon ko dekh ke khud ro padta hai, chale wo jitna bhi strong ho ander se. Ek dost hi hota hai , jise yeh lagta hai ke ushke hote huye bhi hum takleef men hai, aur wo kuch nehi kar parahi hai. Akir yeh dost ki anmool rista hai wo bade bade degree se bhi bada hai. Kyun k eek sacha dost, chale tumhare pass degree ho na ho, tumhare sath reheat hai. Wo dosti paiso se nehi nap tol nehi karte, jot toh kitna pyar de sakte hain baho sochte hain.
Muhje thik se yaad nehi kab ushe pehli baar mili thi. Mene ushke sath kon sa baat kiya tha. Wo pehela aksar kya tha. Aur yeh bhi yaad nehi kab se mene usko itna samman kab se diya. Logon ko pehechan toh jati hoon, par mahine lag jate hain.Jisko bhi kabhi peheli mulakat men bhagban ka darja deti hoon, wo sabse jada dukh dete hain, jiko kabhi rista rakhna nehi chahati, wo kab dil men bash jate hain pata nehi chalta. Kabhi kabhi yehi baat soch ke khud mann mann men hash leti hoon. Aur kabhi kabhi doston ko bhi bolti hoon.toh wo log mazak karke turant puchte hain, “hame peheli nazaar men kya sochi thi?” yeh bhi sunk eek muskurahat de deti hoon.
Han ek cheez yaad hai. Gori se, patli si, lambhi kaad bali ek ladki mere room B-401 ke samne khadi thi, knock karke . Hash hash ek ladki mere room men ake HAPPY BIRTHDAY boli hi. Hath men card tha. Muhje deke smile kar ke boli, muhje pehele se pata nehi that oh khud yeh card banake layi.  Ush ladki ko men thik se bhi janti nehi thi. Bash yeh cheez janti thi ke wo hostel men reheti hai. Ush ladki ko pata bhi nehi hoga wo card mere liye ush time kitna mayine rakhta tha. Ghar se door peheli baar hostel men rehene ko ayi thi. Ghar ki bada yaad aaraha tha. Yahan kiisise thi se wo apna paan nehi milraha tha. Jaise koi pyase ko pura samander milgaya. Wo ladki aur koi nehi khuku thi. Jo  abhi mere dil men ghar basa li hai.
Hum log ek galti hamesha karte hain, logon ko unke chehere se pehechane ki kosish karte hain. Yeh kosish hamesha nakamiyam lagta hai. Sayad hum logon ka Ego andar reheta hai , jo insaan ko thik se pehechan ke liye diwar banke rehta hai. Mene bhi wahi galti ki thi. Ushe pehele ek rough and tough ladki soch rahi thi , jo bash apne hi baat bolti hai. Sayad men khud bahi thi. Par dheere dheere jab men ushe jane lagi, phechne lagi sochi ki men kitna galat thi. Bahot sare incidents huye jise pata chala wo bahar se jitna tough hai, andar se utna acha, ushe bhi jada kind hearted hai. Sayad wo kisi ek insaan ko apna nehi manti ishliye wo itna achi hai. Matlab wo sabko apna mati hai. Ek baar dekhi koi ek hostel ladki bimaar padi hai, hospital men hai, wo chal padi ushe dekhne ke liye. Wo ushe janti bhi nehi thi. Ishse pata chala wo dusro ke baremen kitna sochti hai. Ek baar wo pagli ladki apni best friend ki shaadi men nehi gayi, kyun ke mera tabiyat khrap tha aur men ro rahi thi. Ush pagli ko pata bhi nehi hoga itna pyar pake mera tabiyat adha thik hogaya. Ek baar esa hua bahot jaan milke mere against men bol rahe the, men jo suggest kar rahi thi sun bhi nehi rahe the, par wo meri sath di. Ush pagli ki Logical reasoning power jada hi achha hai. Koi bhi topic ho aram se samjha deti hai. Jo log meri suggestion sun nehi rahe the, unko wo samjhai and finally wo kaam men hum log jab successful huye, tab wahi log meri baat samjhe. Wo thi mere sath.
Zindegi baar baar hame takleef dene ki kosish ki. Har baar hame kamzoor karne ki kosish ki. Hum toh toot bhi jate par wo thi hamare sath. Wo dost khuku. Hamesha ish tute huye dil ko maram lagan eke liye. Jitne baar girne bale the, utni baar wo hame bade narrok se sambhli. Ek dost hi toh hote hain jo paanch che ghanta bethke hamari kahani sunti hahi. Kab sham se raat ho jata hai pata nehi chalta. Ek dost hi toh hote hai, jo bina bole hi samaj jati hai. Ek dost hi toh hai, jo kabhi bhi yeh ehesash nehi dilate ki hamne koi galti ki hai, par han galti ho toh ushe sudhar ne ki kosish karti hai. Ek dost hi toh hai, jisse bina sarmaye kuch bhi bol sakte hain. Ek dost hi toh hai, jo duyao men apki khusi mangi hai, bhale hi bhagban se ushe nata na ho. Ek dost hi toh hai, jo apka gussa bhi pyar se apna ta hai. Sach hi toh keheti thi, agar men nehi ati yahan, kahan wo milti. Kahan muhje pata chalta zindegi kya hai. Wo hi toh sahi myine men zindegi ki har pehelu dikhayi. Wo hi toh muhje sahi aur galat ki pehechan karwai. Ristoh ki ehemiyat toh muhje maloom tha,par ushe nibhana toh hi sikhai. Raste bhale hi kitni katheen ho, ushpar kese chale ja sakte hain wo hi toh dikhayi. Khud ko pehechanki wo nazaar ushi ne toh dilaya hai.

Sayad khuda ki den hai wo
Ish dil ki jaan jahan hai wo
Pata nahi men uski dosti ki kabil hoon ya nahi
Par yeh sach hai, ish zindegiki sabse pyara meheman hai wo

Yeh hai meri pyari si dost ki kahani. Meri khuku ki kahani. Jo pyar toh karti hai, jatati nehi. Jo hasti toh kaam hai, par hasati bahot hai. Jo dost toh hai, par dushman ki tarah pyar se khichai karne men baaz nehi ati. Jo milti toh kaam bar hai, par kya kya meri zindegi men hoti hai, sab khabar rehti hai. Jo Ushe kisi ki nazaar na lage ish liye ushka naam DUSHMAN rathi hoon. Ek pyara sa dushman.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Meri Best Friend ki Shaadi

Prowess database..basic steps to use

Odisha: Memories Recollected