Best Student Award
Best Student Award
Yeh kahani ek B.Tech ladki ki
hai. Kaise wo apni college ke dino shararat karti reheti thi, wo share karne ke
liye men ek choti si kosish ki hoon ushki jabani.
Shaam ka time tha har roz ki
tarah men meri senior ke sath chai pine kali da ke chai ki dukan gayi thi. Kali da
sabse ache chai banate hain IITKGP men. Shaam hote hi hum log nikal padte hain
hamare lab se. Subhe se shaam tak chemicals, bacteria, peptites, samples, plants, se
ghare rehete the. Ish liye hame moka chaiye ush central AC ki lab se nikal ne
ko. bahr garmi hoti hai aur andar South polar ki sahrdi. Lab men itna tez se AC ka hawa chalta hai ki, lab ke andar coat pehena
padta hai. Aur guide ki bak bak sun sun ke bore hojate hain sham tak. men toh heran ho jati thi ki wo management ki didi apni guide ka itna tareef kaise karsakte hain. Hum log toh paresan hojate hain apne guide se. kabhi kabhi jealous feel hota hai unke guide ke bareme sunke. Baki bahar nikal
ke chai ke naam pe achaa time pass ho jata hai. Aaj din bhar kya kiye, konsi
ladka ya ladki aaaj hamare seniour ko pasand aye, aaj guide ke sath kya khichai kiye,
konsi ladki aaj kya style karke ayi, koi naya junior- sab baat chit chalta hai.
Mano round table conferences lag jata
tha sham ke time. Han har time ek jaga nehi jate the, adde ke liye kafi jaga
hai IITKGP men khane ke bahane. Pata nahi kab ek do ganta bit jata hai. Han lab
men experiment chalake ate the toh jada time baat nehi toh bash chai.
Ush shaam ki baat hai. “Kali da do special chai ek green
chai aur masala mudi dijiye toh. Han chai banne tak wo biscuits de dijiye” men
boli. Hum log pehele apne conference jane ki plan kar rahe the , aur fir senior
ki shaadi ki baat. Conference men kitna kharca hoga, fundings pane ke liye
kasie lab men sab milke paper publish karne ki kosihish, kaise group men bethke
editing karte hain lab men, agar copuples hoke jayenge apne life partner le
sath toh kitna extra paisa dena padega, tickets kahan se book karenge, VISA ke
liye kab apply karenge, guide kasie mere funding ke liye koisish kar rahe. Sab baat
chit chala adhe gante tak. Fir chai agaya , baat chiz ka silsila chalet raha
hai. Dada special chai ke eilaba green tea bhi tha,thoda jadi dijiye” yeh bolke
Fir senior ki shaadi ki discussion kiye.
Kaise hum log jayenge, guide se bolke jayenge ya ese hi chale jayenge, ticket
kon sa train pe karenge, kon si colour ki saree pehenege , haldi kitna
lagayenge dulhan ko, mithai kitne khayenge. Chai thoda late aaraha tha, toh koi
masale dar topic chiye tha gape ladane ke liye, masaledar mudi ki tarah. Snacks
ke time chatapati khane ke sath chatpati baate bhi hote hain. Mene suru kiya
apni raam katha, mere Btech ki kahani, jab mere senior bole ke men kitni
sincere hoon.
Didi bahot jada hi sincere thi
men.Muhje best student ki award mila tha. Do senior didi jo sath men the khus
hogaye sunke aur bole hame pata hai tum bahot sincere ho. Men chai ki pyali mun men deke thoda muskurai.
Didi sakal men maat jayiye. Dusre di jo enginnering background ke nehi the,
unse boli, hum Btech bale bade hi shaitan hote hain. Char saal khatam ho jata
hai, par hum sughar te nahi. Han B.Tech ki degree ke sath, shaitan ki dree bhi
leke jate hain. Koi panga nehi lete hain, kyun ke uski pungi baja dete the. Abhi
kahan se suru karoon pata nahi. Kyun ke college ke suru ke din se esa ragging
hota hai, ke hum hogon ki chamdi hypopotamus ki tarah ho jata hai, aur koi bhi
baat hame fir tafleef nehi deta hai. Bash takat aajata hai, confidence aajata
hai by God. Han first day men pura saant susil hoke jate hain. Par yeh senior logon
ki nazaar se kahan baach pate hain. Bada hi tez nazar hota hai unka. Pura eagle
eye ki tarah. Chun chunke pakadte hain aur gin gin ke haal behal karte hain. Han
yeh bhi sach hai ki wahi senior fir ache dost ban jate hain.
Abhi kon sa kisa batayen aapko. bitotechnolgy ki jaanta ko koi ragging nehi kar pate the. pehela din bhi achha gaya tha. Hum logon ka class first year men fashion technology ke sath hoti thi aur 2nd year men civil students ke sath. Ek baar ek ladki hamari ek saheli fashion technolgy ke sath bahot hi batameez takie se ragging kiye. Men kahan chup reheti, jake complain kardiya principal se. Seniour log heran paresan ki ..ek toh juniour upar se ladki hamare naam pe complain. Seniour logon ko gusssa agaya. Abhi unko kahan pata tha ki men unse bhi jada dheet hoon.Agar kahin kuch galat hota hai men kisiko chodti nahi hoon. jab dhamkane lage higher authorities ko complain kiya.Situation samaj ke pata kiye men sahi hoon, seniour ko action lene bale the, wo seniour toh course chodne ki sochke par baad men sudhar gaye aur apna course khatam karke chale gaye.
Class men ek naye professor aye the. Na unko thik se subject ki gyan thi , na thik se pronounciation kar pate the. Bade hi bore lagta tha. jan bujke question pe question, question pe question puchte jate the. Wo bhi sochte rehete the kya answer hoga. bade hi kabil sohcte the hame. Group bunk karte the kabhi kabhi aur last semetser ke internal men toh group men exam bhi nehi diye. Koi prof ki tarif , koi madm ko letter,koi gali likh ke aye the. han pehelse do exam de diye the internals ushe mark mil gaya tha.
Han agar koi proffesor sahi men kuch thik se padhate the, hum unko respect karte the. aapne toh suna hoga wo satyamev jayate ka second episode men kya bola tha " Do not respect elders, respect their behaviour". wahi principle hum mante the. Sahi logon ke sath sahi, galat logon ke sath galat. Men class representative thi, toh sari responsibility meri. Class representative bhaya bada kathin kaam hai. profesor aur student donno se gali sunna padta hai. Students bolenge class nehi karna, aur profesors bolenge extra class karna hai. jo bhi ho life ko kabhi seriouly nehi liya.
Kisiko pata chalega ki men itna badmas hoke bhi BEST STUDENT AWARD li thi.

Comments
Post a Comment