Kuch Shayari apne kalam se


Kuch Shayari apne kalam se

(The image is Digital art done by me)

Kya hai tere dil men
Kash yeh jaan pati
Har pal har lamha
Kash tere pass hoti
----------------------------------------------------------------
Tera pyar toh manzoor tha
Tera gussa bhi tha manzoor
Manzoor nehi bash ek cheez hume
Tera rehena muhse dur
----------------------------------------------------------------
Tere bina koi tamana nahi
Yeh mere dil ko hai pata
Dur rehete ho toh pyar aye
Pass aao toh kyun khafa
----------------------------------------------------------------

Yeh dil men itna takleef kyun hota hai
Na baat karo pyar se Yeh ansoon hai ya hai koi samanderKhamiya aapmen bhi hai ,Khamiya muhjmen bhi hainTumse milne ki din itne kaam, Aur beechardne ke din itne lambe kyun hote hainKabhi toh dost se mehebuba banaTere pyar ki har lamhe ki yaad wo gaane yaad dilate rehete hainHum toh deewane huye bash teri ek hasin mushkan menKiski ko bhi tu kalakar bana de, tuhje dekhne ki khawab menKitne sayar likh gaye kabita, bash teri ek hasin mushkan men 
Hum toh ashique hain, hamesha barbad huye reheke ashikana andaz menMeri tarah na jane kitne ashique barbad huye, bash teri ek hasin mushkan men----------------------------------------------------------------Kiski ko bhi tu kalakar bana de, tuhje dekhne ki khawab menKitne sayar likh gaye kabita, bash teri ek hasin mushkan men Hum toh ashique hain, hamesha barbad huye reheke ashikana andaz menMeri tarah na jane kitne ashique barbad huye, bash teri ek hasin mushkan men----------------------------------------------------------------Hum toh ashique hain, hamesha barbad huye reheke ashikana andaz menMeri tarah na jane kitne ashique barbad huye, bash teri ek hasin mushkan men----------------------------------------------------------------Laye tum labzon pe, baat jo dil men theJane kitne sawan, jane kitne mahina



Har khusi men bhi sirf dard kyun hota hai
Jab tum mere ho hi nahi toh fir
Tumhe khone ka yeh daar kyun hota hai

Na haak jatao muhjpe itna

Khub maze se dil tode hain yahan log
Kabhi samander ki gehrai, kabhi ansman ki taron ke jitna

Ya koi baarish ke boonde sawan ke

Gaam men toh jhalak ta hi hai
Jhalak ta firbhi hai jab mile khusi ke moke

Bash yeh gila hai mere dost tuhjse,

Hum apke khamiya chupate hain, Aur aap hamara khamiyan nikalte hain

Kabhi hasrat na thi chand taron ka
Kabhi khawab na dekha karte the
Tune pyar ka jhalak dikhlake
Dil men arzoo barte gaye
Abhi khud ko chand aur taro samajte hain
Par tu chodke gaya ese ke khudse rubraru na kar pate hain
-------------------------------------------------
Hame zindegi se yun dur kiya tumne 
Hum khud ko sambhal na paye
Dard toh bahot sare thi pehele se

Par ish baar dil ko kish bahane samjhaye

-------------------------------------------------
Tujhe dekhun toh kalam chalne lagi
Tere chehere men kya hai
Men khudko bulake tujhmen jeene lagi

Yeh teri awaz men kya jadoo hai

-------------------------------------------------

Jaab bhi meri naam sunu tumse
Har narazgi dur ho jati hai

Dil ka takleef dur ho jati hai
muskurane ki baja fir mil jati hai
-------------------------------------------------
Dil ka thikana ab kya den
Jab hum musafir ban gaye 
Tere dil ke talash men
-------------------------------------------------
Wo safar hi kya jahan koi hamsafar hi nehi
Wo mukadar hi kya jahan sanam ki ane ki gunjaish bhi nehi
-------------------------------------------------
Yeh kismat ki lekha itna ajeeb kyun hote hain
----------------------------------------------------------------
Kabhi toh muhje tere kabil bana
----------------------------------------------------------------
Ek pal ese ate hain, sare gaane sune sune se lagte hain
----------------------------------------------------------------
Na naam ya sohorat men dil aya, na paiso ki bohchar men
Yeh tumhara lawz hai ya koi aaina
----------------------------------------------------------------------

kabhi apne askon se dil behelata raha , kabhi jhoote muskano se dard chupata raha
dard chehere pe na aye,ishliye kya kya bahane banata raha
tum kya jano yaad na karne ki kosish men , kitne baar tumhe yaad karta raha

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Meri Best Friend ki Shaadi

Prowess database..basic steps to use

Odisha: Memories Recollected