Meri Best Friend ki Shaadi


Meri Best Friend ki Shaadi


Yeh kahani hai Amani ki, jo kabhi meri hostel mate  hua karti thi. Aaj ushki call aya tha. Barso biit gaye the,pata nahi kahan se wo muhje dhund li. Han bol rahi thi ki facebook pe kisi aur ek hostel friend ko mera number puchi. Muhje abhi bhi yaad hai kaise wo mere hostel men mili thi. Kal ki baat ki tarah hi toh lag raha hai. Men apne room pe khana kha rahi thi, k eek patli si ladki gudia ki tarah dikhne men mere room knock kiya. Choti si pink colour ki shirt pehenke aur red tops men ake puchi aapka proxy number muhje de sakte ho, mera internet nehi aaraha hai. Sayad men ushe dus baar puchi hungi ke wo kya puch rahi thi. Uska aabat itna kaam tha ki wagal men bhi koi ho uske toh sunai na de. Jaise dheere se koi khel khel rahe ho, kaan men chupke se kuch bolne ka khel. Badi hi chui muin type kit hi. Muhje toh dekhke yeh laga tha ke koi btech ki ladki hogi. Baadmen bade dino ke baad pata chala tha ke wo PhD karke ayi hai. Wo choti si ladki jo kabhi akele kahin jaen ko pasand nehi karti thi, aur muhje bulati thi sath jane ko aaj shaadi karke ghar sambhale ja rahi hai. Wo jisko market sabji khadine jao toh bolegi tu aaj free hai na market jayenge, wo parlour ho , koi kapdo ki bazaar ho ya department bhi jana ho muhje bulati thi. Pura bachi thi. Han samajdar bhi kafi thi. Jab jab bhi koi baat pe muhje koi tang karte the, bade himat se un logon ko gali deti thi aur muhje samjhati thi kabhi kabhi ladna sikho. Men laske uske gale lag jati thi aur sara gaam bhool jati thi. Kabhi kabhi toh dadi maa ban jati thi. Men toh socthi thi ushke naam ka ek serial banwaun. : “AMANI DADI MAA KE NUSHKE”.

Hum log kabhi baat kiye nehi the thik se. Muhje yeh lagta tha ki badi hi modern ladki hai, pata nahi men pehele baat karungi toh kya sochegi. Wo bhi muhje baat nehi karti thi, ke men kya sochungi. Ek din uski mummy ayi thi hamre hostel men. Wo muhje dekhi aur kahin sare baat kiye. Badi pyari thi. Wo hi hum do ko thik se dosti karwai thi. Tab se hum log bade hi close friends ban gaye the aur close up muskan hamesha hamare chehere pe rehta tha. Tab koi ad agency hame le sakte the tooth paste ki ad men. Khana pina, ghumna firna, padhai sab kuch ek sath. Kapde bhi kharide the toh ek pair toh pakka same type ka hota tha. Jaise ek ke sath ek free free free type ka ho. Movie dekhne ka, photography karne ka, paintings karne ka, modelling pose men photo khichne ka bada hi shokin the hum dono. 99% marks nehi mile the kabhi but 99% taste milthe hum donno ka.

Badi khubsoorat thi madam. Ladko ki oh line lagi reheti thi. Koi ushke department ke koi mere department ke ladke bade hi fida the ushpe. Par wo yeh tay kar lit hi thi ki apni mummy papa ki marzi se shaadi karegi. Sahi bhi toh hai. Akir hamse bade hain wo log.kabhi samaj hai un logon ko hamare baremen. Hum log ghanto betheke ladke dekhte the shaadi.com pe. Ladko ki kami nehi thi ush shaadi .com ki bazaar men. Big bazaar ki shopping ki tarah ladke apne profile picture men honge .pasand aye toh kharid lo nahi toh aur ek section jao. Bese hum log toh PhD kar rahe the. Toh usha faida toh lena hi chiya na. Itna kuch padha tha research methodology men. Sampling ka bada hi istamal kiye the hum log ush doraan. Pehele population choice karo jo ladke honge, ushmen se Brahmin ladke, ushmen se jo phd kiye honge, fir horoscope bhi match ho. Ese karke sample size chota ho gaya tha. Sample choto ho toh research men biasedness hota hai. Bese hi sample chota hone par ladko ki number pad jati thi. Agar koi choice hote the toh unke nacre allag se. Mano ke economics ka supply and demand theory chal raha hao. Ache ladka ladkiyon ki demand jada aur supply kaam. Bhai sabi ki apni apni passand bhi toh thi na. Kisiko lambi ladki chahiye, kisiko job nehi karne wali, koi PhD kiye ho par job nehi kar sakti. Kabhi kabhi men sun ke heran ho jati thi  ki lako ko thoda moti ladki chahiye, aur amni patli thi. Are men paresan kyun na hoon bhai, bade hi mehenat karti thi gym jake apna weight loss karne ke chakar men. Yeh log bhi na jo mote hote hain unko ptle hone ko bolte hain, jo patle  hote hain unko mote hone ko bolte hain. Kabhi kabhi umar ke baje se shaadi ho pata tha. Kabhi kabhi dahej. Are shaadi kar rahe ho koi business contract thode na kar rahe ho, ish men fridge TV cash kahan se aajata hai. Koi koi toh pehele se  engaged hote the par apne mummy papa ke daar se Amani ko dekhne ajate the.bad men mana kar de te the. Yeh toh sochna hi chahiye ke ladki ki dil men kya guzaar ti hogi jab uska rista thukraya jata hoga. jaise ekta ki serial ho, baar baar riste thodna aur jodna. Haad hi hogayi thi.

Kabhi upset rehene lagi thi. Bese yeh kaam unka sirf nehi tha. Bhaya ish men toh society aur relatives ka bada hath hota hai. Ladki peda hui hi nahi, jasie shaadi ki baat suru kardo. Rupa aunty bolegi apki badi beti ki shaadi nahi huyi? Choti ki shadi men late nehi ho raha hai? Apki beti aur kitna padhegi? Mano IAS exam ka questions ho. Mummy papa bhi kya karenge. Beti ki umar ho rahi hai,ladka dhundo. Usha biodata aur photo abhi bhi hoga mere mail pe, mummy ko diya tha shaadi dhundne ke liye. Bade pampad bele the humlog us doran.Phd ka kaam apne area pet oh hota tha, ushke sath shaadi ki Phd hum log kar diye the.

Aaj wahi mithi si chilbuli si ladki phone kit hi. Hello kasi hai muhje puchi.pehele toh men samaj nehi payi, par baadmen uski hasi se pata tha ki Amani hai. Bichde huye do dost ka aaj barso ke baad kar rahe the. Bade hi khush the hum log. Meri haal chal puchi mene bhi usko pucha kab kar rahi hai shaadi. Ishilye toh phone ki hoon wo boli. Men toh mazak men bol rahi thi wo sach men shaadi kar rahi hai. Hamari itne dino ki mehenat aaj raag la rahi hai.kabhi chidai ushko. Bahot khus lag rahi thi. Jasie pani se taras te huye insaan ko pura sawan mil gaya ho. Jaise fulo ka khilne ka root agaya ho. Jaise samandar ki leher aaj koi khel khel aha ho. Mene turant pucha kon hai wo kab hai shaadi , love ya arrange. Wo hasne lagi meri sawal ki train gadi sunke. Jaise men rata lagake rakhi hoon yeh sawal puchugi. Wo boli arrange cum love. Mene haske boli yeh kafi romatic lag raha hai.
Hum log baat kar hi rahe the ki network ka problem hua aur phone disconnect ho gaya. Yeh cell bhi na urgent time pe hi disconnect ho jata hai. Ad men toh bada hi baat karte hain network apke sath jahan jahan bhi jaye. Par yeh kya. Mene kafi try kiya par laga nehi. Socha ki sayad wo bhi try kar rahi hogi. Mene aur call nehi kiya aur uske call ka intezaar kiya. Fir kuch der bethi rahi ek smile ke sath. Purane din yaad jo agaye the. Kaise paglon ki tarah dance karte the koi bhi function ho, bash moka chahiye tha party ka. Utpag khana experiment karte the , aur naam toh double ajeeb reheat tha. Firse call karegi toh bataungi ushe mere se cooking sikhi hai abhi sasural men muhje thoda yaad karne ko khana pakane ke time. Ek baar toh kheer banake food festival men hisa liye the. Yeh yaaden hi toh hai jo sabse kimti khazana hai. Isi yaadon men toh hum log jite hai. Men chair pe bethi hi thi ke meri nazaar ek bade si card pe aya. Yeh card toh wo meri birthday pe di thi. Bada sa card. Surprise dene men hum donno awal ate the. Men ghar chali gayi thi meri birthday pe, wo mera room ka chabi apne pass rakhi thi. Jab men ghar se wapas ayi toh dekhi ke wo mera room ballon se bar di hai aur soft toys and cards men saza ji hai. Itna khush hogayi ke kya bataon. Surprises kisko pasand nehi hoti.  Ek baar picnic gaye the, meri tabiyat kharab ho gayi thi, baki sab ghumne chale gaye beach pe, par wo mere sath ruki cab men. Men soyi thi. Yeh sab sochke dil bhar ayi. Tabhi firse call aya.

Hello, mera network ka gadbad hai. Mene ushe ladke ki baat puchi. Wo boli “software engineer hain. Bade hi ache hai, hum logon ka shaadi fix hua, baat chee huyi aur fir love hogaya. Next mahine shaadi kar rahe hain tu zaroor ana”. Wo ish year valentine day men prpose kiye the. Saat din saat baar sath tarikhe se. Roses toh har roz milta tha unse. Chota sa paribaar hai unka , men unki ladli choti bohu banugi. Men bash sun rahi thi aur wo bolti hi ja rahi thi. Mene pucha “koi dowry ka problem toh nehi na?. Wo boli” nehi muhje dulha chaiye tha aur unko dulhan bash yehi len den hua hai. Han dher sara pyar ka bhi len den hua hai. Tu na pink colour ki saree pehenke ana”. Men hasne lagi aur boli tuhje  abhi bhi yaad hai ke tere shaadi men men pink colur ki saree pehenugi boli thi. Wo sab kuch yaad rakhi thi. Kase hum log uske shaadi men dance karne ki soche the, kase mehendi day ka celebration karenge,kon kon se dance number aur gaana chalange, kahan kahan se shopping karenge aur dulha ko kasie tang karenge. Ushko yeh bhi yaad tha ki men ushki dewaar ko shaadi karungi boli thi. Haske wo boli “sun mera koi dewar nehi hai, par han tere jiju ke kaafi sare handsome friends hai”. Men khub hasi ushi baat sunkar. Kabhi ache din the , kasie hum log ek sath snacks ke liye sham ko nikal te the, aur snakes karne jayenge bolte the; kaise barish men ek chate men adha bheege bheege huye hostel ke aur ate the; kaise summers men daku tit rah apne chehere ko dupata men lapetke jati thi aur wo badmas meri photo khichke facebook pe choti thi, kase wo meri vedio nikal ke muhje blackmail kart thi ek icecream treat ke liye; kaise hum paani barne jate the ek block se durse block jasie gaon men matke men paani bharne kuye ke pass jate ho. Sab kuch ankhon ke samne agaya tha.

Wo muhjse puchne lagi meri shaadi huyi ki nahi. Aab shadi ki mela men toh men aahi gayi thi, par kumbh ki mela men jaise kho jate hai, men bhi kho gayi thi dulha ki mela men. Shaadi ke laddo mil toh rahe the, par ek dar sa lagta tha. Par bolte hain na shaadi ke laddu khao toh pachtao na khao toh pachtao. Toh khake hi pachta na behetar hai. Men usko boli ladka dhund rahe hai ghar men. Pehele meri best friend ki shaadi  men khub nachugi gaaungi,  fir apni shaadi men . Men bahot khush   hun meri best friend teri shaadi ho rahi hai

HIT  a LIKE if you like these thoughts

Comments

  1. So sweet........
    Jaise aapne ye likha kuch dino baad koi aapke liye bhi ye shayad likhe...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Prowess database..basic steps to use

Lessons from a Matchstick