Aaj Paani Nehi Ayega


Aaj Paani Nehi Ayega



           "Pani Pani khare pani re, nanomen bhar jaye neende khali kar Jaye". Nano men toh bhara nehi par han neende kharap zaroor kar diya. Bolte hain kisiki ki kimat, kisi ki ehemiyat jab wo pass na ho toh pata chalta hai. Sach men jo cheez aram se mil jata hai usko hum puchte nehi hai, jisko bade mehenat se milta hai usko hum jada ehemiyat dete hain.

     Ek garmi  masoom ka din ki baat kar rahi hoon. Bahot garmi thi ishbaar. Subhe che baje bhi dopeher ka dhoop nikal jata tha. Roz roz ish liye subhe uthke jaldi department chali jati thi taki jada dhoop men muhje nikal na pade. Dost log heran paresan ho jate the. Puchthe the itni subha tum department men kya karte ho. Actually, mere dost logon ka uthne ka time mere time se bahot alag tha. Actually mera timing pura IIT bando ke timing se alag tha. Yahan bande 12 baje uthe the..han yeh yeh alag baat hai ke agar class hai toh jaldi uthna padha tha bacho ko. Fir raat bhar jagte rehete the. Subhe 5 am baje jab morning walk ka time hota hai, jab bacho ka son eke time hota hai. Agar yeh pucho ke Kya karte hain raat bhar toh kahin jawab milenge-B.tech (Productof IIT) wale yahan ke saan hain, wo logon ka time reheat hai padne ka , koi facebook, koi padhai library men, koi girl friend ke sath, koi group men masti. Han sirf b.tech kyun Mtech(By-Product)  and PhD (Waste Product) wale bhi samil hai. Mtech/MBA bale bhi bahi karte hain.PhD log apne lab men busy. Koi raat ko 2.2 lagate the, koi beth ke baa, koi skype men apne boyfriend se baat.Agar koi festival ka time ho toh IIT ke raat din baan jata tha. KOi veggies men, koi ghan ghosh, koi main building ke samne gol chakr men bethke doston ke sath waqt gurte rahe hain.  Mera bhi mann karta tha ke men bhi ek baar pura raat jagke IIT ka nazara dekhun. Par hua nehi. Toh men yeh bol rahi thi, ki ese raat gujar thi aur logon ka late hota tha.Jo jaldi uth jate the, unko abnormal sochte the yeh log. IIT ke category men nehi hain. Jo bhi ho adat toh adat hai, men jaldi uth jati thi, agar kabhi padhai ho toh late nehi toh winter ka season ho toh late. Winter men blanket men sona, janat jaise lagta hai. Abhi garmi men lekin jada neend nehi ati. Abhi student life men AC toh milega bhi nehi, milna bhi nehi chahiye kyun ke sara time fir sone men chala jata. Subhe ke 6am hota nehi automatically neend khul jati thi. Room men jo khidi hai, ushmen se tez dhoop chehere pe padta tha.Mobile pe diya hua alaram sunai nehi deta tha , par lagta tha, suraj ji alaram ka kaam kar the the.

         Ankhon men neend bhara hua tha, ankhe khone ko mann nehi karta tha ush din. Par garmi men room me andar bed pe aur raha nehi gaya. Mann kar rah tha ke nahake firse so jayun. Neend maharaj ko bhaaga ne ke liye wash room gayi apni face dhone. Ankhon men pani padega toh neend khool jayegi. Ache se mun dho liye. Brush bhi karli. Fir nahne ke liye nikli toh pani band. Muhje laga thode der men paani aajayega. Men as usual apni laptop open kiya. Aaj kal yeh esi adat ho gayi hai ke pucho maat. Bash sone ke time band reheta hai laptop-sleep mode pe.fir meri bagal room men rehene wali friend puchi paani nehi aaraha hai, mene bola nehi. Ushne kahan toh muhje jagaya kyun nehi, paani jab aaratha hum log naha sakte the, paani rakh sate the. Mere dimag men yeh khayal tab nehi aya tha,sayad adhi neend men thi. Fir pura hostel ki chaan maari.

          Kuch solution mile ishliye pehele hostel ki group mail men mail kiya, maintenance secretary ko, bbad men pata chala ki ,sirf hamere block B men nehi  C men bhi nehi arah hai.Kuch kuch jag ape bash pine ka paani hai. Mene mere wahi wingmate ko bulake thirs floor se pine ke paani bhar diye aur dhunde ke A block ki bathroom men naha lie. Hostel men hangama ho gaya tha tab-subhe 9.30 am 10 am ke around.jinte bhi bottle tha room pe bhar liye. Baki hostel li ladkiyan bhi bahi kar rahi thi. Koi koi yeh bhi bole ke un logon ko kal se pata tha, koi koi bole inda men pipe fat gaya hai, koi bole do din tak paani nehi ayega. Yeh sab sunke hum log bucket men paani store kane ki soche. Par ek block se durse block pani lana, baot hi halat kharap ho gayi. Jab paani bhar ke lati thi, agar meri wingmate kuch gira deti thi, ushko turant bolti thi ..dekh tu ek boond bhi maat girana. Tab ek boond bhi samandar ki tarah lagta tha.

         Ush din bash ek item banake khaye.khicdi, ek bartan men share karke khaye,kyun ke done ke liye paani kahan se layen. Nahana bhi 1 balti se hogaya. Minimum use of water. Tab pata chala ke paani ka kimat kitna anmol hai. Hum log bhool jate hain ke paani ek din khatam ho jayega, kitne bimari fel jayega, pine ko paani nehi milega, janbaar aur insaan ki halat ek jaise ho jayega, paani kharid na padega, sayad kitne jhagde karne padenge, stock price ki tarah paani ki price up and down hote rahenge, aur hamere heart beats bhi up and down honge. Nahana toh door ki baat hai, pine ko nehi milega. Ped pode murjha jayenge. Aur ped pdhe nehi rahenege toh hum bhi kahan ish dunya men ji payenge. Sayad ek boond paani ke liye bahot sare bibad khade ho jayenge.

    "Aaj Paani Nehi Ayega" ek din men yeh sunke agar itna ho halla maach gaya socho yeh agar roz ki baat huyi toh kya hoga. Ish liye ek ache nagneek ki tarah hame yeh yaad rakhna chahiye ke boond boond men zingegi hai, aur yeh zindgei apne hatho men hai, hum apne ane bale zindegi kaisa hoga. Khud taya karenge. Apni thodi si adat sudhar ke. Naal se paani behete huye nehi chode, jab zarrorat ho tab naal khole. Nahane ke time balti men bhake rakhe, behe huye na chode. Jo bhi paani ka istamal karo, thoda carefully karko.  Hamare ane wale generation yeh na bole "Water, water, every where, Nor any drop to drink"



Comments

Popular posts from this blog

Meri Best Friend ki Shaadi

Prowess database..basic steps to use

Lessons from a Matchstick