Best Student Award
Best Student Award Yeh kahani ek B.Tech ladki ki hai. Kaise wo apni college ke dino shararat karti reheti thi, wo share karne ke liye men ek choti si kosish ki hoon ushki jabani. Shaam ka time tha har roz ki tarah men meri senior ke sath chai pine kali da ke chai ki dukan gayi thi. Kali da sabse ache chai banate hain IITKGP men. Shaam hote hi hum log nikal padte hain hamare lab se. Subhe se shaam tak chemicals, bacteria, peptites, samples, plants, se ghare rehete the. Ish liye hame moka chaiye ush central AC ki lab se nikal ne ko. bahr garmi hoti hai aur andar South polar ki sahrdi. Lab men itna tez se AC ka hawa chalta hai ki, lab ke andar coat pehena padta hai. Aur guide ki bak bak sun sun ke bore hojate hain sham tak. men toh heran ho jati thi ki wo management ki didi apni guide ka itna tareef kaise karsakte hain. Hum log toh paresan hojate hain apne guide se. kabhi kabhi jealous feel hota hai unke guide ke bareme sunke. Baki bahar nikal ke chai ke naam pe achaa time pa